Aao firse hum chale
Thaam lo ye haath, kardo kam yeh faasle
Na pata ho manzilon ka, na ho Raste
Tu ho, main hu, bethe dono firr
Hum taaron ke taley
Naa subah ho fir, naa hi din dhale
Kuch na keh sake, kuch na sun sake
Batein sari wo, dil me hi rahein
Tumko kya pata hai kya ho tum mere liye
Kehkasha Ho Tum
Kahaniyon ki pariyon ki tarah ho tum
Mujhme aasake naa koi iss tarah ho tum
Ho yaaqeen tum mera, ya fir gumaan ho tum
Ashiyaan ho tum
Mai bhatka sa musafir aur makaan ho tum
Meri manzilon ka ek hi rasta ho tum